jaise jaise Jio Sim ke user’s badhte ja rahe waise waise iske internet speed me kami aa rahi hai, kahne ko to ye ek 4G sim hai lekin agar aap ise use kar rahe hoge to aapko pata hoga ki iski downloading speed bilkul ek 2G sim ke avarage hai.
Is Jio sim ki downloading speed states ke hisab se devide ki hui hai jis state me iske user’s kam hai waha ye 1-2 Mbps tak speed deti hai aur agar mai apne state ki baat karu to yaha ke lagbhag har ek bande ke paas Jio ka 4G sim hai aur speed 250 – 400 Kbps ke bich me hai jo ki targeted speed se bahut hi kam hai. jis tarah jio sim ko market me launche kiya gaya tha usse to yahi lag raha tha ye hamare sooch me khara utrega aur kuch mile na mile downloading speed to bhadiya hi dega par aisa hua nahi ish sim se aap jitne chahe videos ko stream kar le wo chalegi achhi aur surfing bhi achhi hogi lekin agar downloading ki baat aaye to pata nahi iska server down kyu ho jata hai, khair koi baat nahi maine iski internet speed ko badhane ka ek tarika dhund liya hai ummid hai apko hamari ye trick jarur pasand aayegi.
Is Jio sim ki downloading speed states ke hisab se devide ki hui hai jis state me iske user’s kam hai waha ye 1-2 Mbps tak speed deti hai aur agar mai apne state ki baat karu to yaha ke lagbhag har ek bande ke paas Jio ka 4G sim hai aur speed 250 – 400 Kbps ke bich me hai jo ki targeted speed se bahut hi kam hai. jis tarah jio sim ko market me launche kiya gaya tha usse to yahi lag raha tha ye hamare sooch me khara utrega aur kuch mile na mile downloading speed to bhadiya hi dega par aisa hua nahi ish sim se aap jitne chahe videos ko stream kar le wo chalegi achhi aur surfing bhi achhi hogi lekin agar downloading ki baat aaye to pata nahi iska server down kyu ho jata hai, khair koi baat nahi maine iski internet speed ko badhane ka ek tarika dhund liya hai ummid hai apko hamari ye trick jarur pasand aayegi.
Jio Sim Ki Downloading Speed Kaise Badhaye?
Agar aap internet me jio sim ki downloading speed badhane ke bare me search kare to waha aapko 1000 tricks mil jayege but unme se kuch hi aise tricks hoge jo work karte hoge. Kuch logo ko hamara ye post bhi fake lag raha hoga but dosto aapke jankari ke liye mai bata du mai yaha jitne bhi tricks aapko share karta hu wo khud se 100 times tested hote mai iska videos bhi aapko dikha deta but lekin kuch problem ki wajah se videos banane muskil ho rahi hai, Isko sabit karne ka ek raasta hai ki aap mere ish trick ko apne phone me jarur use kare aur agar ye aapke phone me work karti hai to aap kaun se state me hai aur waha ki jio sim ki speed kitni hai comment me hamare saath jarur share kare.
Method 1 – By Snap VPN App
Is method me mai aapko Snap VPN ki madad se jio sim ki downloading speed kaise badaye uske bare batauga , Is trick ko batane se pahle mai aapko thoda bata du ki ish snap vpn ko aisa banaya gaya hai ki jab aap ise apne smartphone me jio network se connect karte hai to iski internet speed to badhti hai lekin ye speed other android smartphone me share nahi hoti matlab agar aap snap vpn ko phone se connect karte hai sirf usi phone me internet ki downlaoding speed increase hogi agar aap ise Hotspot se kisi phone me internet share karege to us phone me ye work nahi karegi.
Step 1. Sabse pahle pahle aap koi bhi ek internet speed meter ko apne phone me install kare aur current internet ki speed ko naap le.
Step 2. Ab phir Playstore me jaiye aur Snap VPN ko apne phone me install kariye.
Step 3. Install hone ke baad Snap VPN ko open kare.
Step 4. Ab Snap VPN me indian server ko select karke connect kare, Indian server se VPN ko connect hone me kuch waqt lagta hai ho sakta hai 1st time me na ho isliye aap jab tak indian server se VPN connect na ho jaye try karte rahe.
Step 5. Indian server me connect hone ke baad Snap VPN ko close mat kare use backround me chalte rahne de agar aap ise connect karke close kar dege to ye work nahi karega isliye ise Minimize kar de.
Step 6. Ab apne phone me koi bhi browser open kare aur koi large Video file ko download kar ke dekhe , Kuch waqt ke liye internet slow ho sakta hai sirf suru ke 15 minut tak hi slow hoga uske baad aapke jio sim ki internet speed bahut badh jayegi.
Note :- Agar Indian server Full show kare to aap koi aur bhi country ke server ko select kar sakte hai kuch countries ke server ki internet speed Hi hoti hai isliye aapko sabhi ko ek baar connect kar ke dekhna chahiye par Must hai ki aap indian server hi select kare.
To dosto aapne dekha ki kaise aap Snap VPN ki madad se jio sim ki internet speed ko badha sakte hai ab jo method mai aapko batane ja raha usme aap bina VPN download kiye hi sirf phone ke APN settings se hi jio ki internet speed ko increase kar sakte hai, Lekin mai aapko snap VPN ki madad se internet speed ko increase karne salah duga kyuki ye bahut hi aasan tarika hai aur koi bhi ise aasani se manage kar sakta hai.
Method 2 – By Network Confuguartion Settings
Dosto Is method ka use karne se pahle mai aapko bata du ki iske srttings ka tab hi use kare Incase jab Snap VPN kisi wajah se aapke phone me work nahi kar raha, agar aapke phone me method 1 bhi achhe se work kar raha to is method 2 ko apne phone me apply nahi kare mera aapse kahne ka matlb saaf hai ki aap dono me se ek hi method ko apne phone me apply kare.
Step 1. Sabse pahle apne phone ki settings me jaiye.
Step 2. Ab More >> Network Settings me jaiye.
Step 3. Ab access point me jakar Add New APN me click kare aur niche diya APN settings ko default me save kar de.
- Name – HindiTechHelp
- APN – jio net
- APN Type – Default
- Proxy – Not Set
- Port – Not Set
- Username – Not Set
- Paasword – Not Set
- Server – www.google.com
- MMSC – Not Set
- MMS Proxy – Not Set
- MMS Port – Not Set
- MCC – 405
- MNC – 857, 863 or 874
- Authentication Type – Not Set
- APN Protocol – IPv4/IPv6
Note :- Jaha jaha Not Set likha hai waha khali rahne de kuch bhi nahi bhare.
Step 4. Ab sari setting ko change karke save kare aur phone ko reboot kar de.
Ab aapki sari settings bhi save ho chuki hai ab Phone ko ON kare aur internet connection suru karke kuch bhi large file ko download karke dekhe. Itna karne ke baad bhi agar jio sim ki internet speed me koi farak nahi pada to ek baar dobara settings ko achhe se inspect kar le aur dobara try kar ke dekhe.
To dosto ummid hai aapko hamari ye post pasand aayi hogi agar aapko jio sim ki internet speed ko badhane ke bare kuch aur sawal jawab karna chahte hai to wo aap hame comment me puch sakte hai. aapke sawalo ke jawab dene hame bahut khusi hogi agar aapka hamara ye post pasand aaya to ise social media aur apne dosto ke saath jaur share kare aur hamare blog ko subscribe kare.
No comments:
Post a Comment